Looking For Anything Specific?

Kafan shayari in hindi mein 2 line | कफन शायरी हिंदी में

 Kafan shayari in hindi mein 2 line | कफन शायरी हिंदी में

अब उम्र का लिहाज़ कर
कफ़न का इंतज़ाम कर
भाग मत इधर उधर
आख़िरी सलाम कर

Ab umr ka lihaaz kar
Kafan ka intzaam kar
Bhag mat idhar udhar
Aakhiri salaam kar
___________________________________

वादे भी उसने क्या खूब निभाए हैं,
ज़ख्म और दर्द तोहफे में भिजवाए हैं,
इस से बढ़कर वफ़ा कि मिसाल क्या होगी,
मौत से पहले कफ़न का सामान ले आये हैं…

Waade bhi usne kya khoob nibhaye hain,
Zakhm aur dard tohfe mein bhijwaye hain,
Isse badhkar wafa ki misaal kya hogi,
Maut se pehle kafan ka samaan le aaye hain...

___________________________________

Kafan shayari in hindi 2 line

दर्द की सारी सिलबटों पर कफन डाल आयी हूँ।
हाँ तन्ह़ा ही किस्ती को दरिया से निकाल लाई हूँ।

Dard ki saari silbatoon par kafan daal aayi hoon.
Haan tanha hi kishti ko dariya se nikal laayi hoon.

___________________________________

कैसी अजीब तुझसे यह जुदाई थी,
कि तुझे अलविदा भी ना कह सका,
तेरी सादगी में इतना फरेब था,
कि तुझे बेवफा भी ना कह सका…

Kaisi ajeeb tujhse yeh judaai thi,
Ki tujhe alvida bhi na keh saka,
Teri saadgi mein itna fareb tha,
Ki tujhe bewafa bhi na keh saka...
___________________________________

Kafan shayari love

जिंदगी से कुछ भी उधार नही लेते दोस्त…
कफन भी लेते है तो जिंदगी देकर…

Zindagi se kuch bhi udhaar nahi lete dost,
Kafan bhi lete hai toh zindagi dekar...
___________________________________

हुआ जब इश्क़ का एहसास उन्हें,
आकर वो पास सारा दिन रोते रहे,
हम भी निकले खुदगर्ज़ इतने यारो,
कफ़न में आँखें बंद करके सोते रहे…

Hua jab ishq ka ehsaas unhe,
Aakar wo paas sara din rote rahe,
Hum bhi nikle khudgarz itne yaaro,
Kafan mein aankhen band karke sote rahe...
___________________________________

Kafan shayari images, pic

ना कफ़न में जेब है,
ना कब्र में अल्मारी !

Na kafan mein jeb hai,
Na kabr mein almari!
___________________________________

कितना दर्द है दिल में दिखाया नहीं जाता,
किसी की बर्बादी का किस्सा सुनाया नहीं जाता,
एक बार जी भर के देख लो इस चहेरे को,
क्योंकि बार बार कफ़न उठाया नहीं जाता…

Kitna dard hai dil mein dikhaaya nahi jaata,
Kisi ki barbaadi ka kissa sunaya nahi jaata,
Ek baar ji bhar ke dekh lo is chehre ko,
Kyonki baar baar kafan uthaya nahi jaata...
___________________________________

कफन शायरी हिन्दी में

जिन पर लुटा चुका था मैं दुनिया की दौलते !
उन वारिसो नें मुझे कफ़न भी नाप कर दिया !

Jin par luta chuka tha main duniya ki daulat,
Un warison ne mujhe kafan bhi naap kar diya!
___________________________________

जब पहुंचा कि जब पहुंचा मैं अपनी मौत के पास
कि जब पहुंचा कि जब पहुंचा मैं अपनी मौत के पास
खुदा बोला, कि उसकी की हुई दुआओं में कमब्ख्त बहुत दम है
इसलिए मौत तो दूर की बात, तेरी ज़िंदगी में दरद बहुत कम है

Jab pahuncha ki jab pahuncha main apni maut ke paas
Ki jab pahuncha ki jab pahuncha main apni maut ke paas
Khuda bola, ki uski ki hui duaon mein kambakht bahut dum hai
Isliye maut toh door ki baat, teri zindagi mein dard bahut kam hai
___________________________________

यहाँ गरीब को मरने की जल्दी यूँ भी है,
कि कहीं कफ़न महंगा ना हो जाए....

Yahan garib ko marne ki jaldi yun bhi hai,
Ki kahin kafan mehnga na ho jaaye...

Post a Comment

0 Comments